kuchh der kali raat ke pahlu mein leT ke
kuchh der kaalī raat ke pahlū meñ leT ke
laayā huuñ apne hāthoñ meñ jugnū sameT ke
do chaar daaoñ khel ke vo sard paḌ gayā
ab kyā karoge taash ke pattoñ ko pheT ke
us sāñvle se jism ko dekhā hī thā ki bas
ghulne lage zabāñ pe maze chākleT ke
jaise koī libās na ho us ke jism par
yuuñ rāsta chale hai badan ko sameT ke
maiñ us ke intizār meñ baiThā hī rah gayā
kapḌoñ meñ rakh gayā vo badan ko lapeT ke
har falsafe ko vaqt ne aise miTā diyā
jaise koī nuqūsh miTā de saleT ke
vo hañs rahā thā duur khaḌā aur chand log
le jā rahe the us ko kafan meñ lapeT ke
kuchh der kali raat ke pahlu mein leT ke
laya hun apne hathon mein jugnu sameT ke
do chaar daon khel ke wo sard paD gaya
ab kya karoge tash ke patton ko pheT ke
us sanwle se jism ko dekha hi tha ki bas
ghulne lage zaban pe maze chaakleT ke
jaise koi libas na ho us ke jism par
yun rasta chale hai badan ko sameT ke
main us ke intizar mein baiTha hi rah gaya
kapDon mein rakh gaya wo badan ko lapeT ke
har falsafe ko waqt ne aise miTa diya
jaise koi nuqush miTa de saleT ke
wo hans raha tha dur khaDa aur chand log
le ja rahe the us ko kafan mein lapeT ke
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.