kuchh din se uTh rahi hai dil-o-shahar-e-jaan se KHak
kuchh din se uTh rahī hai dil-o-shahar-e-jāñ se ḳhaak
jab ham hare bhare haiñ to aa.ī kahāñ se ḳhaak
phir bhī ye dil dhaḌak uThā us kī pukār par
go us pe lā ke Daalī thī saare jahāñ se ḳhaak
chehra aTā hai dhuul se ḳhālī haiñ donoñ haath
tum aa rahe ho chhān ke āḳhir kahāñ se ḳhaak
ham is liye bhī us se milāte nahīñ nazar
nisbat zamīn ko hai bhalā āsmāñ se ḳhaak
kal tak harā bharā thā tirā dil mirā dimāġh
ab kaise uḌ rahī hai yahāñ se vahāñ se ḳhaak
ā.inda mere saath yahāñ raftagāñ bhī hoñ
so maiñ haTā rahī huuñ har ik dāstāñ se ḳhaak
jis but ko merā ishq nahīñ raam kar sakā
vo ho sakegā mom tumhāre bayāñ se ḳhaak
kuchh din se uTh rahi hai dil-o-shahar-e-jaan se KHak
jab hum hare bhare hain to aai kahan se KHak
phir bhi ye dil dhaDak uTha us ki pukar par
go us pe la ke Dali thi sare jahan se KHak
chehra aTa hai dhul se KHali hain donon hath
tum aa rahe ho chhan ke aaKHir kahan se KHak
hum is liye bhi us se milate nahin nazar
nisbat zamin ko hai bhala aasman se KHak
kal tak hara bhara tha tera dil mera dimagh
ab kaise uD rahi hai yahan se wahan se KHak
aainda mere sath yahan raftagan bhi hon
so main haTa rahi hun har ek dastan se KHak
jis but ko mera ishq nahin ram kar saka
wo ho sakega mom tumhaare bayan se KHak
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.