kuchh dinon is shahr mein hum log aawara phiren
kuchh dinoñ is shahr meñ ham log āvāra phireñ
aur phir is shahr ke logoñ kā afsāna likheñ
shaam ho to dostoñ ke saath mai-ḳhāne chaleñ
sub.h tak phir raat ke tāqoñ meñ be-masraf jaleñ
muddateñ guzrīñ ham us kī raah se guzre nahīñ
aaj us kī raah jaane ke bahāne DhūñD leñ
shahr ke dukh kā mudāvā DhūñD lo chāragaro
is se pahle log dīvāreñ siyah karne lageñ
ek jaise manzaroñ se aañkh be-raunaq huī
aao ab kuchh der dīvāroñ se bāhar jhāñk leñ
pahle ghar se be-ḳhayālī meñ nikal paḌte the log
ab taqāzā-e-junūñ ye hai ki vo achchhe lageñ
kuchh dinon is shahr mein hum log aawara phiren
aur phir is shahr ke logon ka afsana likhen
sham ho to doston ke sath mai-KHane chalen
subh tak phir raat ke taqon mein be-masraf jalen
muddaten guzrin hum us ki rah se guzre nahin
aaj us ki rah jaane ke bahane DhunD len
shahr ke dukh ka mudawa DhunD lo chaaragaro
is se pahle log diwaren siyah karne lagen
ek jaise manzaron se aankh be-raunaq hui
aao ab kuchh der diwaron se bahar jhank len
pahle ghar se be-KHayali mein nikal paDte the log
ab taqaza-e-junun ye hai ki wo achchhe lagen
- Book : Sang-ge-Sada (Pg. 265)
- Author : Zubair Razvi
- Publication : Zehne Jadid, New Delhi (2014)
- Edition : 2014
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.