kuchh dinon se main kahin masruf hun
kuchh dinoñ se maiñ kahīñ masrūf huuñ
ai mirī shām-e-hasīñ masrūf huuñ
ye mohabbat hai nahīñ shīshagarī
kaam hai nāzuk-tarīñ masrūf huuñ
us ko dekhe ik zamāna ho gayā
vo kahīñ yā maiñ kahīñ masrūf huuñ
is chaman meñ ik faqat tū hī nahīñ
dekh abhī maiñ yāsmīñ masrūf huuñ
ik zarā mohlat karūñgā maiñ supurd
jaan jān-e-āfrīñ masrūf huuñ
umr guzrī rāstoñ ko dekhte
haath meñ hai dūrbīñ masrūf huuñ
kuchh patā chaltā nahīñ 'shāhid' mujhe
kho gayā huuñ yā kahīñ masrūf huuñ
kuchh dinon se main kahin masruf hun
ai meri sham-e-hasin masruf hun
ye mohabbat hai nahin shishagari
kaam hai nazuk-tarin masruf hun
us ko dekhe ek zamana ho gaya
wo kahin ya main kahin masruf hun
is chaman mein ek faqat tu hi nahin
dekh abhi main yasmin masruf hun
ek zara mohlat karunga main supurd
jaan jaan-e-afrin masruf hun
umr guzri raston ko dekhte
hath mein hai durbin masruf hun
kuchh pata chalta nahin 'shahid' mujhe
kho gaya hun ya kahin masruf hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.