kuchh ek main hi nahin tera jaan-e-jaan mushtaq
kuchh ek maiñ hī nahīñ terā jān-e-jāñ mushtāq
hai terī diid kā muddat se ik jahāñ mushtāq
sagān-e-kūcha-e-dilbar kā ai humā kab se
hai jism meñ mire har ek ustuḳhvāñ mushtāq
tum ishtiyāq meñ us ko paḌā hī rahne do
tumhārā chhoḌ ke dar jaave ye kahāñ mushtāq
ḳhudā ke vāste ruḳh se naqāb ko ulTo
ki kar rahe haiñ bahut der se fuġhāñ mushtāq
haram meñ dair meñ dasht-o-chaman meñ milte nahīñ
kareñ talāsh batāo tumheñ kahāñ mushtāq
kuñ.eñ jhukāo na un ko zarā dikhāo jamāl
tumhārā ġhairat-e-yūsuf hai kārvāñ mushtāq
dikhāoge tum agar kākul-e-musalsal ko
hamāre paañv kī hoveñgī beḌiyāñ mushtāq
ravish pe baaġh meñ tan ke to chal zarā lab-e-jū
huī haiñ sarv-e-ravāñ terī qumriyāñ mushtāq
ishāroñ se hai tire abrū-o-mizha ke ayaañ
shikār ke liye haiñ tiir aur kamāñ mushtāq
dil-e-visāl meñ ho kyoñ na intizār-e-firāq
bahār kī bhī sadā rahtī hai ḳhizāñ mushtāq
hamārā sar tire 'ḳhanjar' ke vaar kā qātil
hai ārzū-e-shahādat meñ har-zamāñ mushtāq
kuchh ek main hi nahin tera jaan-e-jaan mushtaq
hai teri did ka muddat se ek jahan mushtaq
sagan-e-kucha-e-dilbar ka ai huma kab se
hai jism mein mere har ek ustuKHwan mushtaq
tum ishtiyaq mein us ko paDa hi rahne do
tumhaara chhoD ke dar jawe ye kahan mushtaq
KHuda ke waste ruKH se naqab ko ulTo
ki kar rahe hain bahut der se fughan mushtaq
haram mein dair mein dasht-o-chaman mein milte nahin
karen talash batao tumhein kahan mushtaq
kunen jhukao na un ko zara dikhao jamal
tumhaara ghairat-e-yusuf hai karwan mushtaq
dikhaoge tum agar kakul-e-musalsal ko
hamare panw ki howengi beDiyan mushtaq
rawish pe bagh mein tan ke to chal zara lab-e-ju
hui hain sarw-e-rawan teri qumriyan mushtaq
ishaaron se hai tere abru-o-mizha ke ayan
shikar ke liye hain tir aur kaman mushtaq
dil-e-visal mein ho kyon na intizar-e-firaq
bahaar ki bhi sada rahti hai KHizan mushtaq
hamara sar tere 'KHanjar' ke war ka qatil
hai aarzu-e-shahadat mein har-zaman mushtaq
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.