kuchh ek roz mein main chahaten badalta hun
kuchh ek roz meñ maiñ chāhateñ badaltā huuñ
agar na seat mile to baseñ badaltā huuñ
har ek roz vo pahchān kaise letī hai
har ek roz to maiñ āhaTeñ badaltā huuñ
hamesha tum ko shikāyat rahī jamā.ūñ na haq
to sun lo aaj maiñ apnī hadeñ badaltā huuñ
karāhtī haiñ ye bistar kī silvaTeñ merī
tamām raat maiñ yuuñ karvaTeñ badaltā huuñ
ḳhudā kā shukr hai aadat nahīñ bane ho tum
kuchh ek roz meñ maiñ ādateñ badaltā huuñ
kuchh ek roz mein main chahaten badalta hun
agar na seat mile to basen badalta hun
har ek roz wo pahchan kaise leti hai
har ek roz to main aahaTen badalta hun
hamesha tum ko shikayat rahi jamaun na haq
to sun lo aaj main apni haden badalta hun
karahti hain ye bistar ki silwaTen meri
tamam raat main yun karwaTen badalta hun
KHuda ka shukr hai aadat nahin bane ho tum
kuchh ek roz mein main aadaten badalta hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.