kuchh ghaur se dekho to KHarabon mein hai naqsha
kuchh ġhaur se dekho to ḳharāboñ meñ hai naqsha
chehre pe ḳharāsheñ haiñ ḳharāshoñ meñ hai naqsha
is shahr-e-tilismāt meñ ik ek qadam par
naqshoñ meñ sarāb aur sarāboñ meñ hai naqsha
dakkan meñ muqayyad hai na dillī meñ na lahore
is sher kā tātārī ġhazāloñ meñ hai naqsha
yazdāñ se hameñ ḳhvāb meñ ik naqsh milā thā
is naqsh meñ kuchh ḳhvāb haiñ ḳhvāboñ meñ hai naqsha
duniyā ke ḳhad-o-ḳhāl kī buniyād tirā nuur
aalam ke ḳhazānoñ kā tujh āñkhoñ meñ hai naqsha
kuchh ghaur se dekho to KHarabon mein hai naqsha
chehre pe KHarashen hain KHarashon mein hai naqsha
is shahr-e-tilismat mein ek ek qadam par
naqshon mein sarab aur sarabon mein hai naqsha
dakkan mein muqayyad hai na dilli mein na lahore
is sher ka tatari ghazalon mein hai naqsha
yazdan se hamein KHwab mein ek naqsh mila tha
is naqsh mein kuchh KHwab hain KHwabon mein hai naqsha
duniya ke KHad-o-KHal ki buniyaad tera nur
aalam ke KHazanon ka tujh aankhon mein hai naqsha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.