kuchh ghazlon pe ab se hairat hoti hai
kuchh ġhazloñ pe ab se hairat hotī hai
is se us se sab se hairat hotī hai
īmāñ kī kamzorī hai kuchh aur nahīñ
jis ko bhī maz.hab se hairat hotī hai
milne aanā tum ne jab se chhoḌ diyā
mujh ko tujh pe tab se hairat hotī hai
ik duuje kā jiinā mushkil karte haiñ
is duniyā meñ sab se hairat hotī hai
pichhlī shab ik ḳhvāb meñ sūraj ko dekhā
us ik raushan shab se hairat hotī hai
tum ko to ye sab kuchh raas na aatā thā
tum ko yaarā kab se hairat hotī hai
dariyā milne aayā shāyad us ko bhī
mere tishna-lab se hairat hotī hai
kuchh ghazlon pe ab se hairat hoti hai
is se us se sab se hairat hoti hai
iman ki kamzori hai kuchh aur nahin
jis ko bhi mazhab se hairat hoti hai
milne aana tum ne jab se chhoD diya
mujh ko tujh pe tab se hairat hoti hai
ek duje ka jina mushkil karte hain
is duniya mein sab se hairat hoti hai
pichhli shab ek KHwab mein suraj ko dekha
us ek raushan shab se hairat hoti hai
tum ko to ye sab kuchh ras na aata tha
tum ko yara kab se hairat hoti hai
dariya milne aaya shayad us ko bhi
mere tishna-lab se hairat hoti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.