kuchh gunah nahin is mein etiraf hi kar lo
kuchh gunah nahin is mein etiraf hi kar lo
Zulfeqar Ahmad Tabish
MORE BYZulfeqar Ahmad Tabish
kuchh gunah nahīñ is meñ e'tirāf hī kar lo
jo chhupā.e phirte ho sab ke rū-ba-rū kah do
bojh kyuuñ rahe dil par apnī kam-kalāmī kā
buzdilī bhī achchhī hai chāhe tum ye na maano
shab jo ḳhvāb dekhā thā ek dasht-e-ḳhvāhish kā
apnā jī kaḌā kar ke aaj us se kah Daalo
ḳhuub hai sazā ye bhī kasb-e-kāmyābī kī
ek shab kī qīmat meñ ab to umr-bhar jaago
ek baar chhū lenā bas gul-e-badan us kā
ik matā-e-ḳhushbū hai haath umr-bhar chūmo
thā to vo bas ik lamha par ye us kā phailāo
chāhe ishrateñ us kī saarī zindagī likkho
ḳhvāb le ke aayā huuñ maiñ dukān-e-dushman par
is se besh-qīmat ab aur chiiz kyā becho
kuchh gunah nahin is mein e'tiraf hi kar lo
jo chhupae phirte ho sab ke ru-ba-ru kah do
bojh kyun rahe dil par apni kam-kalami ka
buzdili bhi achchhi hai chahe tum ye na mano
shab jo KHwab dekha tha ek dasht-e-KHwahish ka
apna ji kaDa kar ke aaj us se kah Dalo
KHub hai saza ye bhi kasb-e-kaamyabi ki
ek shab ki qimat mein ab to umr-bhar jago
ek bar chhu lena bas gul-e-badan us ka
ek mata-e-KHushbu hai hath umr-bhar chumo
tha to wo bas ek lamha par ye us ka phailao
chahe ishraten us ki sari zindagi likkho
KHwab le ke aaya hun main dukan-e-dushman par
is se besh-qimat ab aur chiz kya becho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.