kuchh hai jo ye guman na hota to Thik tha
kuchh hai jo ye gumān na hotā to Thiik thā
sar par ye āsmān na hotā to Thiik thā
achchhā thā gar zamīn na hotī jahān meñ
yā phir koī jahān na hotā to Thiik thā
insān mehmān hai do-chār roz kā
us par ye imtihān na hotā to Thiik thā
apnī talāsh meñ to na phirtā idhar-udhar
itnā baḌā makān na hotā to Thiik thā
tujh se mirā mu'āmla hotā ba-rāh-e-rāst
ye 'ishq darmiyān na hotā to Thiik thā
kaisā ‘ajīb hai ki maiñ huuñ bhī nahīñ bhī huuñ
merā kahīñ nishān na hotā to Thiik thā
kuchh hai jo ye guman na hota to Thik tha
sar par ye aasman na hota to Thik tha
achchha tha gar zamin na hoti jahan mein
ya phir koi jahan na hota to Thik tha
insan mehman hai do-chaar roz ka
us par ye imtihan na hota to Thik tha
apni talash mein to na phirta idhar-udhar
itna baDa makan na hota to Thik tha
tujh se mera mu'amla hota ba-rah-e-rast
ye 'ishq darmiyan na hota to Thik tha
kaisa ‘ajib hai ki main hun bhi nahin bhi hun
mera kahin nishan na hota to Thik tha
- Book : Quarterly TASTEER Lahore (Pg. 628)
- Author : Naseer Ahmed Nasir
- Publication : H.No.-21, Street No. 2, Phase II, Bahriya Town, Rawalpindi (Issue No. 1, 2, Jan To June.2011)
- Edition : Issue No. 1, 2, Jan To June.2011
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.