kuchh haqiqat to hua karti thi insanon mein
kuchh haqīqat to huā kartī thī insānoñ meñ
vo bhī baaqī nahīñ is daur ke insānoñ meñ
vaqt kā sail bahā le gayā sab kuchh varna
pyaar ke Dher lage the mire gul-dānoñ meñ
shāḳh se kaTne kā ġham un ko bahut thā lekin
phuul majbūr the hañste rahe gul-dānoñ meñ
un kī pahchān kī qīmat to adā karnī thī
jāntā hai koī apnoñ meñ na begānoñ meñ
sar hī ham phoḌne jaa.eñ to kahāñ jā.eñge
khokhle kāñch ke but haiñ tire but-ḳhānoñ meñ
kuchh haqiqat to hua karti thi insanon mein
wo bhi baqi nahin is daur ke insanon mein
waqt ka sail baha le gaya sab kuchh warna
pyar ke Dher lage the mere gul-danon mein
shaKH se kaTne ka gham un ko bahut tha lekin
phul majbur the hanste rahe gul-danon mein
un ki pahchan ki qimat to ada karni thi
jaanta hai koi apnon mein na beganon mein
sar hi hum phoDne jaen to kahan jaenge
khokhle kanch ke but hain tere but-KHanon mein
- Book : Pakistani Adab (Pg. 519)
- Author : Dr. Rashid Amjad
- Publication : Pakistan Academy of Letters, Islambad, Pakistan (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.