kuchh harj nahin jam jo begana lage hai
kuchh harj nahīñ jaam jo begāna lage hai
rindoñ se ḳhafā sāqi-e-mai-ḳhāna lage hai
us shaam kī tauqīr ko āshiq se hī pūchho
ye husn use sub.h-e-sanam-ḳhāna lage hai
dekhe hai ruḳh-e-jānāñ pe jab zulf-e-pareshāñ
is daur kā farzāna bhī dīvāna lage hai
ik maiñ hī nahīñ lagtā tire pyaar kā maarā
har shaḳhs tire pyaar kā dīvāna lage hai
dekhā hai mujhe jab bhī kahā ahl-e-ḳhirad ne
dil merā kisī sham.a kā parvāna lage hai
mahfil se mire zikr pe chal dete haiñ uTh kar
ye tarz-e-amal un kā raqībāna lage hai
is husn kī mahfil ke har andāz se yaaro
'ādil' hī hameñ bānī-e-afsāna lage hai
kuchh harj nahin jam jo begana lage hai
rindon se KHafa saqi-e-mai-KHana lage hai
us sham ki tauqir ko aashiq se hi puchho
ye husn use subh-e-sanam-KHana lage hai
dekhe hai ruKH-e-jaanan pe jab zulf-e-pareshan
is daur ka farzana bhi diwana lage hai
ek main hi nahin lagta tere pyar ka mara
har shaKHs tere pyar ka diwana lage hai
dekha hai mujhe jab bhi kaha ahl-e-KHirad ne
dil mera kisi shama ka parwana lage hai
mahfil se mere zikr pe chal dete hain uTh kar
ye tarz-e-amal un ka raqibana lage hai
is husn ki mahfil ke har andaz se yaro
'adil' hi hamein bani-e-afsana lage hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.