kuchh ho saqi ye tera jam-e-inayat to nahin
kuchh ho saaqī ye tirā jām-e-ināyat to nahīñ
dil meñ hasrat hai magar haath meñ tāqat to nahīñ
shām-e-hijrāñ meñ kabhī pahle ujālā na ho
shāmil-e-dard koī chashm-e-ināyat to nahīñ
ik uchaTtā sā karam bhī na mayassar aaya
ahl-e-ġham se tirī nazroñ ko adāvat to nahīñ
baḳhshish-e-ām sahī terī nigāhoñ meñ magar
apnā dāman kabhī phailā.ūñ ye aadat to nahīñ
kuchh ho saqi ye tera jam-e-inayat to nahin
dil mein hasrat hai magar hath mein taqat to nahin
sham-e-hijran mein kabhi pahle ujala na ho
shamil-e-dard koi chashm-e-inayat to nahin
ek uchaTta sa karam bhi na mayassar aaya
ahl-e-gham se teri nazron ko adawat to nahin
baKHshish-e-am sahi teri nigahon mein magar
apna daman kabhi phailaun ye aadat to nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.