kuchh ilaj-e-dil-e-betab meri jaan ho jae
kuchh ilāj-e-dil-e-betāb mirī jaañ ho jaa.e
aaj agar vasl ke va.ade pe zarā haañ ho jaa.e
ham-nashīñ is ko kahā karte haiñ sohbat kā asar
tiir aa.e mire siine meñ aur armāñ ho jaa.e
haq ne vo mus.haf-e-ruḳhsār tujhe baḳhshā hai
ki jise dekh ke kāfir bhī musalmāñ ho jaa.e
tarz-e-nāla sune andāz-e-fuġhāñ ko dekhe
ġhair baiThe mirī sohbat meñ to insāñ ho jaa.e
haif ai jazba-e-dil tujh se to ye bhī na huā
ki mirī qabr pe vo shoḳh sitam-rāñ ho jaa.e
terī āñkheñ yahī kartī haiñ ishāre zālim
koī be-dil koī bismil koī be-jāñ ho jaa.e
aab ḳhanjar ho nadāmat se pasīna qātil
sāmne mujh sā agar koī garāñ-jāñ ho jaa.e
paañv phailā.e agar vahshat-e-ḳhātir ne yahī
mujhe Dar hai mirā ghar hī na bayābāñ ho jaa.e
tere bismil ko tamanna ho agar jiine kī
jauhar-e-ḳhanjar-e-ḳhuñḳhār rag-e-jāñ ho jaa.e
ik jahāñ meñ tirā shohrā hai masīhā.ī kā
kuchh hamāre bhī dil-e-zār kā darmāñ ho jaa.e
tujh ko ai baḳht-e-siyah is liye ham laa.e the
ki tū yaañ aa ke balā-e-shab-e-hijrāñ ho jaa.e
kis ne dekhā hai qayāmat ko hamārā un kā
faisla aaj hī honā hai jo kuchh haañ ho jaa.e
aañkh saaqī kī jo palTe to palaT jaa.e jahāñ
gardish-e-sāġhar-e-mai gardish-e-daurāñ ho jaa.e
apnā māshūq hai vo ālam-e-tasvīr ai 'mehr'
ki use dekhe to 'bahzād' bhī hairāñ ho jaa.e
kuchh ilaj-e-dil-e-betab meri jaan ho jae
aaj agar wasl ke wade pe zara han ho jae
ham-nashin is ko kaha karte hain sohbat ka asar
tir aae mere sine mein aur arman ho jae
haq ne wo mushaf-e-ruKHsar tujhe baKHsha hai
ki jise dekh ke kafir bhi musalman ho jae
tarz-e-nala sune andaz-e-fughan ko dekhe
ghair baiThe meri sohbat mein to insan ho jae
haif ai jazba-e-dil tujh se to ye bhi na hua
ki meri qabr pe wo shoKH sitam-ran ho jae
teri aankhen yahi karti hain ishaare zalim
koi be-dil koi bismil koi be-jaan ho jae
aab KHanjar ho nadamat se pasina qatil
samne mujh sa agar koi garan-jaan ho jae
panw phailae agar wahshat-e-KHatir ne yahi
mujhe Dar hai mera ghar hi na bayaban ho jae
tere bismil ko tamanna ho agar jine ki
jauhar-e-KHanjar-e-KHunKHar rag-e-jaan ho jae
ek jahan mein tera shohra hai masihai ka
kuchh hamare bhi dil-e-zar ka darman ho jae
tujh ko ai baKHt-e-siyah is liye hum lae the
ki tu yan aa ke bala-e-shab-e-hijran ho jae
kis ne dekha hai qayamat ko hamara un ka
faisla aaj hi hona hai jo kuchh han ho jae
aankh saqi ki jo palTe to palaT jae jahan
gardish-e-saghar-e-mai gardish-e-dauran ho jae
apna mashuq hai wo aalam-e-taswir ai 'mehr'
ki use dekhe to 'bahzad' bhi hairan ho jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.