kuchh insan the kuchh mazhab the ek KHuda tha
kuchh insan the kuchh mazhab the ek KHuda tha
Indr Mohan Mehta Kaif
MORE BYIndr Mohan Mehta Kaif
kuchh insāñ the kuchh maz.hab the ek ḳhudā thā
aur us ek ḳhudā ke kāran sab jhagḌā thā
jaane ham kyoñ sach se itnā ghabrāte haiñ
sach pūchho to tum jhūTe the maiñ jhūTā thā
yaad hai jab ham ne dekhā thā pahlā sūraj
baḌ ke pattoñ se nangā tan Dhāñp liyā thā
kaisā yug thā log bhī kyā sīdhe-sāde the
jis patthar ko tanik tarāshā vahī ḳhudā thā
laao vaqt ke piile panne paḌh kar dekheñ
mahrūmī mīrās thī apnī ġham virsa thā
kitnī sadiyāñ ulaT palaT kar dekh chuke ham
vaqt abhī tak be-chehra hai be-chehra thā
kuchh insan the kuchh mazhab the ek KHuda tha
aur us ek KHuda ke karan sab jhagDa tha
jaane hum kyon sach se itna ghabraate hain
sach puchho to tum jhuTe the main jhuTa tha
yaad hai jab hum ne dekha tha pahla suraj
baD ke patton se nanga tan Dhanp liya tha
kaisa yug tha log bhi kya sidhe-sade the
jis patthar ko tanik tarasha wahi KHuda tha
lao waqt ke pile panne paDh kar dekhen
mahrumi miras thi apni gham wirsa tha
kitni sadiyan ulaT palaT kar dekh chuke hum
waqt abhi tak be-chehra hai be-chehra tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.