kuchh is ada se bazm mein wo jalwa-gar hai aaj
kuchh is adā se bazm meñ vo jalva-gar hai aaj
aalam ye hai ki dil hī raqīb-e-nazar hai aaj
allah re husn-e-yār kī ye sehr-kāriyāñ
har shai mirī nazar meñ fareb-e-nazar hai aaj
zauq-e-numūd-e-shauq kā allah re irtiqā
terī nazar meñ merī tapish jalva-gar hai aaj
husn-e-bahār nāvak-e-mizhgāñ ke maiñ nisār
kaisā harā-bharā mirā zaḳhm-e-jigar hai aaj
kyoñ kar rahe ho jalva-gah-e-ām kī talāsh
manzūr kyā ihānat-e-ahl-e-nazar hai aaj
kuchh is ada se bazm mein wo jalwa-gar hai aaj
aalam ye hai ki dil hi raqib-e-nazar hai aaj
allah re husn-e-yar ki ye sehr-kariyan
har shai meri nazar mein fareb-e-nazar hai aaj
zauq-e-numud-e-shauq ka allah re irtiqa
teri nazar mein meri tapish jalwa-gar hai aaj
husn-e-bahaar nawak-e-mizhgan ke main nisar
kaisa hara-bhara mera zaKHm-e-jigar hai aaj
kyon kar rahe ho jalwa-gah-e-am ki talash
manzur kya ihanat-e-ahl-e-nazar hai aaj
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.