kuchh is ada se koi dam-ba-dam lubhae mujhe
kuchh is adā se koī dam-ba-dam lubhā.e mujhe
ki hārne bhī na de aur āzmā.e mujhe
is intizār meñ huuñ naqsh-e-rā.egāñ ho kar
tirā karam kisī mehrāb meñ sajā.e mujhe
tire nisār kisī aise ġham-gusār ko bhej
ki dil kī bhūl-bhulayyoñ se DhūñD laa.e mujhe
ye jī meñ hai ki sarāpā vo naġhma ban jā.ūñ
ki jis ko tujh se mohabbat ho gungunā.e mujhe
kisī kī dhun meñ pareshāñ to huuñ bikhar hī na jā.ūñ
gale na mauja-e-bād-e-sabā lagā.e mujhe
guloñ se kam nahīñ kāñToñ kī sej bhī 'ḳhurshīd'
ḳhayāl-e-yār agar chain se sulā.e mujhe
kuchh is ada se koi dam-ba-dam lubhae mujhe
ki haarne bhi na de aur aazmae mujhe
is intizar mein hun naqsh-e-raegan ho kar
tera karam kisi mehrab mein sajae mujhe
tere nisar kisi aise gham-gusar ko bhej
ki dil ki bhul-bhulayyon se DhunD lae mujhe
ye ji mein hai ki sarapa wo naghma ban jaun
ki jis ko tujh se mohabbat ho gungunae mujhe
kisi ki dhun mein pareshan to hun bikhar hi na jaun
gale na mauja-e-baad-e-saba lagae mujhe
gulon se kam nahin kanTon ki sej bhi 'KHurshid'
KHayal-e-yar agar chain se sulae mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.