kuchh is ada se nasim-e-bahaar jhum ke chal
kuchh is adā se nasīm-e-bahār jhuum ke chal
ki phuuT nikle dil-e-nā-murād kī koñpal
hasīñ chaman meñ badal jaa.e regzār-e-hayāt
sarāb-e-yās se paidā hoñ farhatoñ ke kañval
ka.ī baras se hai be-āb ābshār-e-talab
kabhī to mahv-e-karam ho umiid ke bādal
na raushnī na tarāne na raqs-e-mauj-e-shamīm
hanūz chashm-e-sahar meñ hai raat kā kājal
bahār meñ bhī hai phūloñ ko intizār-e-bahār
ḳhudā-e-bāġh ye tartīb-e-bāġh kuchh to badal
na chhup sakegā ġham-e-zindagī kā ruḳh 'az.har'
na Daal us pe fareb-e-ḳhayāl kā āñchal
kuchh is ada se nasim-e-bahaar jhum ke chal
ki phuT nikle dil-e-na-murad ki konpal
hasin chaman mein badal jae regzar-e-hayat
sarab-e-yas se paida hon farhaton ke kanwal
kai baras se hai be-ab aabshaar-e-talab
kabhi to mahw-e-karam ho umid ke baadal
na raushni na tarane na raqs-e-mauj-e-shamim
hanuz chashm-e-sahar mein hai raat ka kajal
bahaar mein bhi hai phulon ko intizar-e-bahaar
KHuda-e-bagh ye tartib-e-bagh kuchh to badal
na chhup sakega gham-e-zindagi ka ruKH 'azhar'
na Dal us pe fareb-e-KHayal ka aanchal
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.