kuchh is ada se yar ne juDe ko bal diya
kuchh is adā se yaar ne juuḌe ko bal diyā
dam bhar ko do jahān kā naqsha badal diyā
ab ke junūñ meñ ‘ālam-e-vahshat kā hai ye haal
zindāñ se lauTā maiñ to bayābāñ ko chal diyā
chehre pe hai ye nūr-e-'ibādat ki phir ai shaiḳh
ġhāza kisī ne lā ke tire muñh pe mal diyā
sote se un kī aañkh khulī jab uchhal paḌe
zulfoñ ko apnī saañp samajh kar kuchal diyā
ranj-o-sitam musībat-o-dard-o-ġham-o-alam
merī vafā kā aap ne kyā kyā na phal diyā
shab haal kyā marīz-e-mohabbat kā thā na pūchh
taḌpā taḌap ke muñh se lahū tak ugal diyā
nāz-o-adā unhī ke uThā.e tamām 'umr
ḳhud kī anā ko paañv ke nīche masal diyā
kuchh is ada se yar ne juDe ko bal diya
dam bhar ko do jahan ka naqsha badal diya
ab ke junun mein ‘alam-e-wahshat ka hai ye haal
zindan se lauTa main to bayaban ko chal diya
chehre pe hai ye nur-e-'ibaadat ki phir ai shaiKH
ghaza kisi ne la ke tere munh pe mal diya
sote se un ki aankh khuli jab uchhal paDe
zulfon ko apni sanp samajh kar kuchal diya
ranj-o-sitam musibat-o-dard-o-gham-o-alam
meri wafa ka aap ne kya kya na phal diya
shab haal kya mariz-e-mohabbat ka tha na puchh
taDpa taDap ke munh se lahu tak ugal diya
naz-o-ada unhi ke uThae tamam 'umr
KHud ki ana ko panw ke niche masal diya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.