kuchh is andaz se gham ki murattab dastan kar len
kuchh is andaz se gham ki murattab dastan kar len
Abdul Majeed Dard Bhopali
MORE BYAbdul Majeed Dard Bhopali
kuchh is andāz se ġham kī murattab dāstāñ kar leñ
ham un ko rāz-dāñ kar leñ vo ham ko rāz-dāñ kar leñ
tabassum zer-e-lab nazreñ jhukī sharmā.e sharmā.e
isī andāz se zer-e-nagīñ saarā jahāñ kar leñ
unheñ ma.alūm kyā jehd-o-amal kyā hai kashākash kyā
zamīñ par baiThe baiThe jo tavāf-e-āsmāñ kar leñ
sadā aane lagī un kī hamāre dil ke zaḳhmoñ se
lahū ke qatre qatre ko ab un kī dāstāñ kar leñ
hamārī ābla-pā.ī kī azmat pūchhte kyā ho
agar chāheñ to ham zarroñ ko rashk-e-kahkashāñ kar leñ
koī nau-vāridān-e-sehn-e-gulshan se zarā kah de
chaman kī pattī pattī ko ab apnā mezbāñ kar leñ
jo rāz-e-husn se vāqif na hoñ ai 'dard' duniyā meñ
zarā vo jur.at-e-nazzāra-e-dīda-varāñ kar leñ
kuchh is andaz se gham ki murattab dastan kar len
hum un ko raaz-dan kar len wo hum ko raaz-dan kar len
tabassum zer-e-lab nazren jhuki sharmae sharmae
isi andaz se zer-e-nagin sara jahan kar len
unhen malum kya jehd-o-amal kya hai kashakash kya
zamin par baiThe baiThe jo tawaf-e-asman kar len
sada aane lagi un ki hamare dil ke zaKHmon se
lahu ke qatre qatre ko ab un ki dastan kar len
hamari aabla-pai ki azmat puchhte kya ho
agar chahen to hum zarron ko rashk-e-kahkashan kar len
koi nau-waridan-e-sehn-e-gulshan se zara kah de
chaman ki patti patti ko ab apna mezban kar len
jo raaz-e-husn se waqif na hon ai 'dard' duniya mein
zara wo jurat-e-nazzara-e-dida-waran kar len
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.