Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kuchh is bala ka tera rabt-ashna hona

Hirman Khairabadi

kuchh is bala ka tera rabt-ashna hona

Hirman Khairabadi

MORE BYHirman Khairabadi

    kuchh is balā tirā rabt-āshnā honā

    ki har jafā ba-andāza-e-vafā honā

    sitam-shi.ār tirī aarzū pe kyā mauqūf

    kisī ḳhalish gavāra nahīñ judā honā

    jahāñ meñ phir na kahīñ vaj.h-e-rashk ho jaa.e

    tire karam se mirā mūrid-e-jafā honā

    gudāz ishq se ma.amūr kar diyā mujh ko

    muhāl hai tire ehsān se adā honā

    vo shauq meñ tire iz.hār-e-nāz āġhāz

    vo mere haal pe har jaur ravā honā

    huā vo dād-e-vafā chāhne pe kyoñ barham

    koī gunāh na thā tālib-e-jazā honā

    shab-e-firāq vo halkī ik shuā-e-umīd

    vo sub.h tak mire jiine aasrā honā

    bisāt-e-dahr pe āsāñ nahīñ hai kuchh 'hirmāñ'

    tirī nigāh ke aalam se āshnā honā

    kuchh is bala ka tera rabt-ashna hona

    ki har jafa ka ba-andaza-e-wafa hona

    sitam-shiar teri aarzu pe kya mauquf

    kisi KHalish ka gawara nahin juda hona

    jahan mein phir na kahin wajh-e-rashk ho jae

    tere karam se mera murid-e-jafa hona

    gudaz ishq se mamur kar diya mujh ko

    muhaal hai tere ehsan se ada hona

    wo shauq mein tere izhaar-e-naz ka aaghaz

    wo mere haal pe har jaur ka rawa hona

    hua wo dad-e-wafa chahne pe kyon barham

    koi gunah na tha talib-e-jaza hona

    shab-e-firaq wo halki si ek shua-e-umid

    wo subh tak mere jine ka aasra hona

    bisat-e-dahr pe aasan nahin hai kuchh 'hirman'

    teri nigah ke aalam se aashna hona

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now