kuchh is tarah bhi humne guzari hai pyar mein
kuchh is tarah bhī ham ne guzārī hai pyaar meñ
dil meñ hujūm-e-yās nigah intizār meñ
ab bazm-e-aish se bhī uThā jā rahā hai dil
ab lutf aa rahā hai ġham-e-rozgār meñ
bechainiyoñ kī merī tujhe kuchh ḳhabar bhī hai
āñkheñ bichhī huī haiñ tire intizār meñ
duniyā kī ūñch-nīch meñ kuchh kuchh sañbhal ga.e
ab hausle na.e haiñ dil-e-be-qarār meñ
har zarra-e-zamīñ ko banā.eñge āftāb
fursat mile jo zindagī-e-musta.ār meñ
kal amn kī talāsh meñ nikle the qāfile
ab aa ke ruk ga.e haiñ tirī rahguzār meñ
kuchh is tarah bhi hum ne guzari hai pyar mein
dil mein hujum-e-yas nigah intizar mein
ab bazm-e-aish se bhi uTha ja raha hai dil
ab lutf aa raha hai gham-e-rozgar mein
bechainiyon ki meri tujhe kuchh KHabar bhi hai
aankhen bichhi hui hain tere intizar mein
duniya ki unch-nich mein kuchh kuchh sanbhal gae
ab hausle nae hain dil-e-be-qarar mein
har zarra-e-zamin ko banaenge aaftab
fursat mile jo zindagi-e-mustaar mein
kal amn ki talash mein nikle the qafile
ab aa ke ruk gae hain teri rahguzar mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.