kuchh is tarah ka ajab imtihan dena paDa
kuchh is tarah kā ajab imtihān denā paḌā
mujhe zamīñ ke evaz āsmān denā paḌā
tū jāntā hī nahīñ dīn-e-mustafā kyā hai
husain jaane jise ḳhāndān denā paḌā
jo mujh pe apne hī lashkar se tiir aane lage
adū se haT ke muhāfiz pe dhyān denā paḌā
simaT rahā thā mirā saaya dhuup ke Dar se
dahakte saa.e ko phir sā.ebān denā paḌā
vo jāntā hai tirī ik nazar kī qīmat ko
ki dil ke saath jise ik jahān denā paḌā
vo be-nishān thā lekin mire tavassut se
phir apne hone kā us ko nishān denā paḌā
bhaTak rahā thā hathelī pe le ke apnā shabāb
mujhe phir us ko ye dil kā makān denā paḌā
kuchh is tarah ka ajab imtihan dena paDa
mujhe zamin ke ewaz aasman dena paDa
tu jaanta hi nahin din-e-mustafa kya hai
husain jaane jise KHandan dena paDa
jo mujh pe apne hi lashkar se tir aane lage
adu se haT ke muhafiz pe dhyan dena paDa
simaT raha tha mera saya dhup ke Dar se
dahakte sae ko phir saeban dena paDa
wo jaanta hai teri ek nazar ki qimat ko
ki dil ke sath jise ek jahan dena paDa
wo be-nishan tha lekin mere tawassut se
phir apne hone ka us ko nishan dena paDa
bhaTak raha tha hatheli pe le ke apna shabab
mujhe phir us ko ye dil ka makan dena paDa
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.