kuchh is tarah nigah se izhaar kar gae
kuchh is tarah nigāh se iz.hār kar ga.e
jaise vo mujh ko vāqif-e-asrār kar ga.e
iqrār kar diyā kabhī inkār kar ga.e
be-ḳhud banā diyā kabhī hushyār kar ga.e
yak-tā.i-e-jamāl kī hairat na pūchhiye
har mā-sivā ke vahm se be-zār kar ga.e
kuchh is adā se jalva-e-ma.anī kī sharh kī
mere ḳhayāl-o-fikr ko bekār kar ga.e
allāh re un ke jalva-e-rañgīñ kī fitrateñ
saare jahāñ ko naqsh-ba-dīvār kar ga.e
vaade kā un ke zikr hī 'māhir' fuzūl hai
tum kyā karoge vo agar inkār kar ga.e
kuchh is tarah nigah se izhaar kar gae
jaise wo mujh ko waqif-e-asrar kar gae
iqrar kar diya kabhi inkar kar gae
be-KHud bana diya kabhi hushyar kar gae
yak-tai-e-jamal ki hairat na puchhiye
har ma-siwa ke wahm se be-zar kar gae
kuchh is ada se jalwa-e-mani ki sharh ki
mere KHayal-o-fikr ko bekar kar gae
allah re un ke jalwa-e-rangin ki fitraten
sare jahan ko naqsh-ba-diwar kar gae
wade ka un ke zikr hi 'mahir' fuzul hai
tum kya karoge wo agar inkar kar gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.