kuchh is tarah se hai mere asar mein tanhai
kuchh is tarah se hai mere asar meñ tanhā.ī
na dekh paa.e koī ik nazar meñ tanhā.ī
nikal ke ghar se akele nahīñ raheñge ham
hamāre saath rahegī safar meñ tanhā.ī
hujūm jismoñ kā miltā hai muskurātā huā
diloñ meñ jhāñke to hai har bashar meñ tanhā.ī
mire vajūd ke andar utar ga.ī shāyad
azal se phailī huī thī jo ghar meñ tanhā.ī
mirī tarah se koī aur bhī akelā thā
pata chalā jo paḌhī ik ḳhabar meñ tanhā.ī
ḳhayāl aap kā aatā hai aur jaatā hai
kabhī hai bazm kabhī lamha-bhar meñ tanhā.ī
kuchh is tarah se hai mere asar mein tanhai
na dekh pae koi ek nazar mein tanhai
nikal ke ghar se akele nahin rahenge hum
hamare sath rahegi safar mein tanhai
hujum jismon ka milta hai muskuraata hua
dilon mein jhanke to hai har bashar mein tanhai
mere wajud ke andar utar gai shayad
azal se phaili hui thi jo ghar mein tanhai
meri tarah se koi aur bhi akela tha
pata chala jo paDhi ek KHabar mein tanhai
KHayal aap ka aata hai aur jata hai
kabhi hai bazm kabhi lamha-bhar mein tanhai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.