kuchh is tarah se zamana badalta rahta hai
kuchh is tarah se zamāna badaltā rahtā hai
dil-o-dimāġh meñ sannāTā chaltā rahtā hai
badalte vaqt kā ehsās hosh-mandī hai
hamārī umr kā sūraj bhī Dhaltā rahtā hai
koī zarūrī nahīñ dil hamesha saḳht rahe
vafā kī aañch se vo bhī pighaltā rahtā hai
agar hai sāhab-e-īmāñ gunāh karne par
ḳhudā ke ḳhauf se aksar dahaltā rahtā hai
jise tamīz hai 'shā.ista' nek-o-bad kyā hai
vo apnā haath nadāmat se maltā rahtā hai
kuchh is tarah se zamana badalta rahta hai
dil-o-dimagh mein sannaTa chalta rahta hai
badalte waqt ka ehsas hosh-mandi hai
hamari umr ka suraj bhi Dhalta rahta hai
koi zaruri nahin dil hamesha saKHt rahe
wafa ki aanch se wo bhi pighalta rahta hai
agar hai sahab-e-iman gunah karne par
KHuda ke KHauf se aksar dahalta rahta hai
jise tamiz hai 'shaista' nek-o-bad kya hai
wo apna hath nadamat se malta rahta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.