kuchh is tarah wajud mera be-hisi mein tha
kuchh is tarah vajūd mirā be-hisī meñ thā
ehsās-e-ġham na lutf-e-ḳhushī zindagī meñ thā
iblīs kī adā.eñ uḌā le ga.iiñ use
shāmil jo ek sajda mirī bandagī meñ thā
chhoḌo ḳhayāl-e-hosh-o-ḳhirad mujh ko jaam do
is āgahī se baḌh ke maza be-ḳhudī meñ thā
sūraj luTā rahā thā matā.a-e-hayāt-e-nau
tere baġhair dil kā kañval bekalī meñ thā
mere karam se zarre bhī ḳhurshīd ban ga.e
maiñ sham-e-zindagī thā 'ziyā' tīrgī meñ thā
kuchh is tarah wajud mera be-hisi mein tha
ehsas-e-gham na lutf-e-KHushi zindagi mein tha
iblis ki adaen uDa le gain use
shamil jo ek sajda meri bandagi mein tha
chhoDo KHayal-e-hosh-o-KHirad mujh ko jam do
is aagahi se baDh ke maza be-KHudi mein tha
suraj luTa raha tha mataa-e-hayat-e-nau
tere baghair dil ka kanwal bekali mein tha
mere karam se zarre bhi KHurshid ban gae
main sham-e-zindagi tha 'ziya' tirgi mein tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.