kuchh ishq-e-butan kuchh fikr-e-jahan dil yas ka mara kya kahiye
kuchh ishq-e-butan kuchh fikr-e-jahan dil yas ka mara kya kahiye
Mehr Zarreen
MORE BYMehr Zarreen
kuchh ishq-e-butāñ kuchh fikr-e-jahāñ dil yaas kā maarā kyā kahiye
kashtī ko talātum kā ḳhatra aur duur kināra kyā kahiye
apnoñ ke hamesha jaur-o-sitam ġhairoñ kā sahārā kyā kahiye
kis taur kiyā hai duniyā meñ do roz guzārā kyā kahiye
bhaTkā huā aañsū palkoñ kī chilman meñ laraztā hai aise
jaise ki ghaTā ke āñchal meñ uljhā huā taarā kyā kahiye
ḳhud baiThe biThā.e rotā hai ḳhud baiThe biThā.e hañstā hai
dil aas kā maarā kyā kahiye dil yaas kā maarā kyā kahiye
sajdoñ meñ mohabbat ke 'zarrīñ' jab josh-e-ibādat hotā hai
tab jā ke kisī ko tūfāñ meñ miltā hai kinārā kyā kahiye
kuchh ishq-e-butan kuchh fikr-e-jahan dil yas ka mara kya kahiye
kashti ko talatum ka KHatra aur dur kinara kya kahiye
apnon ke hamesha jaur-o-sitam ghairon ka sahaara kya kahiye
kis taur kiya hai duniya mein do roz guzara kya kahiye
bhaTka hua aansu palkon ki chilman mein larazta hai aise
jaise ki ghaTa ke aanchal mein uljha hua tara kya kahiye
KHud baiThe biThae rota hai KHud baiThe biThae hansta hai
dil aas ka mara kya kahiye dil yas ka mara kya kahiye
sajdon mein mohabbat ke 'zarrin' jab josh-e-ibaadat hota hai
tab ja ke kisi ko tufan mein milta hai kinara kya kahiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.