kuchh iztirab hi rahta to kitna achchha tha
kuchh iztirāb hī rahtā to kitnā achchhā thā
vo ḳhvāb ḳhvāb hī rahtā to kitnā achchhā thā
chhupā ke zaat ke pahlū bhī kyā milā hai mujhe
khulī kitāb hī rahtā to kitnā achchhā thā
takallufāt meñ thā to baḌe sukūn meñ thā
vo jī janāb hī rahtā to kitnā achchhā thā
tamām umr maiñ kirdār ko nibhātā rahā
zarā ḳharāb hī rahtā to kitnā achchhā thā
savāl kar ke vo sharminda ho gayā 'bābar'
tū lā-javāb hī rahtā to kitnā achchhā thā
kuchh iztirab hi rahta to kitna achchha tha
wo KHwab KHwab hi rahta to kitna achchha tha
chhupa ke zat ke pahlu bhi kya mila hai mujhe
khuli kitab hi rahta to kitna achchha tha
takallufat mein tha to baDe sukun mein tha
wo ji janab hi rahta to kitna achchha tha
tamam umr main kirdar ko nibhata raha
zara KHarab hi rahta to kitna achchha tha
sawal kar ke wo sharminda ho gaya 'babar'
tu la-jawab hi rahta to kitna achchha tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.