aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kuchh kahe jata tha gharq apne hi afsane mein tha

Shad Azimabadi

kuchh kahe jata tha gharq apne hi afsane mein tha

Shad Azimabadi

MORE BYShad Azimabadi

    kuchh kahe jaatā thā ġharq apne afsāne meñ thā

    marte marte hosh baaqī tere dīvāne meñ thā

    haa.e vo ḳhud-raftagī uljhe hue sab sar ke baal

    vo kisī meñ ab kahāñ jo tere dīvāne meñ thā

    jis taraf jaa.e nazar apnā jalva thā ayaañ

    jism meñ ham the ki vahshī ā.īna-ḳhāne meñ thā

    boriyā thā kuchh shabīna mai thī TuuTe subū

    aur kyā is ke sivā mastoñ ke vīrāne meñ thā

    hañste hañste ro diyā karte the sab be-iḳhtiyār

    ik na.ī tarkīb dard apne afsāne meñ thā

    sun chuke jab haal merā le ke añgḌā.ī kahā

    kis ġhazab dard zālim tere afsāne meñ thā

    duun letā to hai zāhid magar maiñ kyā kahūñ

    muttaqī saaqī se baḌh kar kaun mai-ḳhāne meñ thā

    paas thā zanjīr tak tauq par kyā munhasir

    vo kisī meñ ab kahāñ jo tere dīvāne meñ thā

    der tak maiñ TakTakī bāñdhe hue dekhā kiyā

    chehra-e-sāqiī numāyāñ saaf paimāne meñ thā

    haa.e parvāne vo jalnā vo ronā sham'

    maiñ ne rokā varna kyā aañsū nikal aane meñ thā

    ḳhud-ġharaz duniyā hālat qābil-e-ibrat thī 'shād'

    lutf milne na apne meñ na begāne meñ thā

    'shād' kuchh pūchho na mujh se mere dil ke daaġh ko

    TimTimātā charāġh ik apne vīrāne meñ thā

    kuchh kahe jata tha gharq apne hi afsane mein tha

    marte marte hosh baqi tere diwane mein tha

    hae wo KHud-raftagi uljhe hue sab sar ke baal

    wo kisi mein ab kahan jo tere diwane mein tha

    jis taraf jae nazar apna hi jalwa tha ayan

    jism mein hum the ki wahshi aaina-KHane mein tha

    boriya tha kuchh shabina mai thi ya TuTe subu

    aur kya is ke siwa maston ke virane mein tha

    hanste hanste ro diya karte the sab be-iKHtiyar

    ek nai tarkib ka dard apne afsane mein tha

    sun chuke jab haal mera le ke angDai kaha

    kis ghazab ka dard zalim tere afsane mein tha

    dun ki leta to hai zahid magar main kya kahun

    muttaqi saqi se baDh kar kaun mai-KHane mein tha

    pas tha zanjir tak ka tauq par kya munhasir

    wo kisi mein ab kahan jo tere diwane mein tha

    der tak main TakTaki bandhe hue dekha kiya

    chehra-e-saqii numayan saf paimane mein tha

    hae parwane ka wo jalna wo rona sham' ka

    main ne roka warna kya aansu nikal aane mein tha

    KHud-gharaz duniya ki haalat qabil-e-ibrat thi 'shad'

    lutf milne ka na apne mein na begane mein tha

    'shad' kuchh puchho na mujh se mere dil ke dagh ko

    TimTimata sa charagh ek apne virane mein tha

    RECITATIONS

    Fasih Akmal

    Fasih Akmal,

    Fasih Akmal

    kuchh kahe jata tha gharq apne hi afsane mein tha Fasih Akmal

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now