kuchh kaho kis ko sada di jae
kuchh kaho kis ko sadā dī jaa.e
jaane vaale ko duā dī jaa.e
dil pe phir aaj hai maazī kā hujūm
yaad kis kis kī bhulā dī jaa.e
hai havā tez bahut chāroñ taraf
sham.a kis ruḳh pe jalā dī jaa.e
aao dīvār pe saaya dekheñ
hasrat-e-dīd miTā dī jaa.e
dil meñ dhuñdlā ga.e naqsh-e-nāyāb
koī tasvīr banā dī jaa.e
har taraf sho.ale haiñ nafrat ke 'asar'
uTTho ye aag bujhā dī jaa.e
kuchh kaho kis ko sada di jae
jaane wale ko dua di jae
dil pe phir aaj hai mazi ka hujum
yaad kis kis ki bhula di jae
hai hawa tez bahut chaaron taraf
shama kis ruKH pe jala di jae
aao diwar pe saya dekhen
hasrat-e-did miTa di jae
dil mein dhundla gae naqsh-e-nayab
koi taswir bana di jae
har taraf shoale hain nafrat ke 'asar'
uTTho ye aag bujha di jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.