kuchh kam nahin nadamat-e-pinhan KHata ke baad
kuchh kam nahin nadamat-e-pinhan KHata ke baad
Tilok Chand Mahroom
MORE BYTilok Chand Mahroom
kuchh kam nahīñ nadāmat-e-pinhāñ ḳhatā ke ba.ad
be-sūd hai har ek sazā is sazā ke ba.ad
fikr-e-ma.āsh ahl-e-mohabbat na kījiye
khāne ko ḳhūn-e-dil hai fareb-e-vafā ke ba.ad
is daur meñ karam kā ravādār kaun hai
pachtā.e kyuuñ koī sitam-e-nā-ravā ke ba.ad
shāhoñ ke saath ye bhī hai taqdīr kā mazāq
rizq-e-humā hoñ sāya-e-bāl-e-humā ke ba.ad
us kā ilaaj kyā hai ba-juz tark-e-mudda.ā
jab sāmnā ho yaas kā har mudda.ā ke ba.ad
tārīḳh us ko bhuul sakegī na ai vatan
aa.egā zikr-e-karb tirā karbalā ke ba.ad
be-mahrī-e-butāñ se ḳhudā yaad aa gayā
'mahrūm' kis ko yaad karoge ḳhudā ke ba.ad
kuchh kam nahin nadamat-e-pinhan KHata ke baad
be-sud hai har ek saza is saza ke baad
fikr-e-maash ahl-e-mohabbat na kijiye
khane ko KHun-e-dil hai fareb-e-wafa ke baad
is daur mein karam ka rawadar kaun hai
pachtae kyun koi sitam-e-na-rawa ke baad
shahon ke sath ye bhi hai taqdir ka mazaq
rizq-e-huma hon saya-e-baal-e-huma ke baad
us ka ilaj kya hai ba-juz tark-e-muddaa
jab samna ho yas ka har muddaa ke baad
tariKH us ko bhul sakegi na ai watan
aaega zikr-e-karb tera karbala ke baad
be-mahri-e-butan se KHuda yaad aa gaya
'mahrum' kis ko yaad karoge KHuda ke baad
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.