kuchh KHabar nama-bar nahin aati
kuchh ḳhabar nāma-bar nahīñ aatī
koī sūrat nazar nahīñ aatī
thak ga.e ham talāsh karte hue
apnī manzil nazar nahīñ aatī
bisrī yādoñ kā hai jo dil meñ hujūm
raat Thahrī sahar nahīñ aatī
jab ḳhudī kā ḳhumār ho jaa.e
ḳhud-sarī raah par nahīñ aatī
aks-bar-āb hai nazar lekin
sūrat-e-chārāgar nahīñ aatī
dard-o-ġham kī fuġhāñ bhī hai ḳhāmosh
ye sadā ab idhar nahīñ aatī
koī 'sādiq' ko DhūñDne nikle
us kī koī ḳhabar nahīñ aatī
kuchh KHabar nama-bar nahin aati
koi surat nazar nahin aati
thak gae hum talash karte hue
apni manzil nazar nahin aati
bisri yaadon ka hai jo dil mein hujum
raat Thahri sahar nahin aati
jab KHudi ka KHumar ho jae
KHud-sari rah par nahin aati
aks-bar-ab hai nazar lekin
surat-e-chaaragar nahin aati
dard-o-gham ki fughan bhi hai KHamosh
ye sada ab idhar nahin aati
koi 'sadiq' ko DhunDne nikle
us ki koi KHabar nahin aati
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.