kuchh KHayal-e-dil-e-hassas meri jaan rakhna
kuchh ḳhayāl-e-dil-e-hassās mirī jaañ rakhnā
aa.ina TuuT bhī saktā hai ye imkāñ rakhnā
ho ke tahlīl-e-vafā aks ko pinhāñ rakhnā
rū-ba-rū zaat ke ā.īne ko hairāñ rakhnā
ghar se mānūs jo ho jaa.e parāyā kaisā
jo base dil meñ use qurb-e-rag-e-jāñ rakhnā
dukh ke kāñToñ pe sajā lenā tabassum ke gulāb
apnī hastī ko hama-rang gulistāñ rakhnā
har na.e gaam pe tajdīd-e-vafā kar lenā
azm-e-nau se safar-e-zīst ko āsāñ rakhnā
zarf ḳhālī ho to fariyād-kunāñ hotā hai
dil meñ kuchh hasrat-o-ummīd ke sāmāñ rakhnā
tīrgī ziist ke ādāb miTā detī hai
dil ko dar aa.e hue dard se tābāñ rakhnā
vahm hai vaj.h-e-parāganda-e-ḳhātir 'shāriq'
vahm se ḳhud ko bahar-hāl gurezāñ rakhnā
kuchh KHayal-e-dil-e-hassas meri jaan rakhna
aaina TuT bhi sakta hai ye imkan rakhna
ho ke tahlil-e-wafa aks ko pinhan rakhna
ru-ba-ru zat ke aaine ko hairan rakhna
ghar se manus jo ho jae paraya kaisa
jo base dil mein use qurb-e-rag-e-jaan rakhna
dukh ke kanTon pe saja lena tabassum ke gulab
apni hasti ko hama-rang gulistan rakhna
har nae gam pe tajdid-e-wafa kar lena
azm-e-nau se safar-e-zist ko aasan rakhna
zarf KHali ho to fariyaad-kunan hota hai
dil mein kuchh hasrat-o-ummid ke saman rakhna
tirgi zist ke aadab miTa deti hai
dil ko dar aae hue dard se taban rakhna
wahm hai wajh-e-paraganda-e-KHatir 'shaariq'
wahm se KHud ko bahar-haal gurezan rakhna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.