kuchh khilaune kabhi aangan mein dikhai dete
kuchh khilaune kabhī āñgan meñ dikhā.ī dete
kaash ham bhī kisī bachche ko miThā.ī dete
suune panghaT kā koī dard-bharā giit the ham
shahr ke shor meñ kyā tujh ko sunā.ī dete
kahīñ be-nūr na ho jaa.eñ vo būḌhī āñkheñ
ghar meñ Darte the ḳhabar bhī mire bhaa.ī dete
saath rahne se bhī khil jaate haiñ rishtoñ ke kañval
bandisheñ rone lagīñ mujh ko rihā.ī dete
in sisakte hue rishtoñ ke kahāñ the qaa.il
varna ham aur tujhe dāġh-e-judā.ī dete
siskiyāñ us kī na dekhī ga.iiñ mujh se 'ra.anā'
ro paḌā maiñ bhī use pahlī kamā.ī dete
kuchh khilaune kabhi aangan mein dikhai dete
kash hum bhi kisi bachche ko miThai dete
sune panghaT ka koi dard-bhara git the hum
shahr ke shor mein kya tujh ko sunai dete
kahin be-nur na ho jaen wo buDhi aankhen
ghar mein Darte the KHabar bhi mere bhai dete
sath rahne se bhi khil jate hain rishton ke kanwal
bandishen rone lagin mujh ko rihai dete
in sisakte hue rishton ke kahan the qail
warna hum aur tujhe dagh-e-judai dete
siskiyan us ki na dekhi gain mujh se 'rana'
ro paDa main bhi use pahli kamai dete
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.