kuchh ko dukan kuchh ko KHaridar kar chuke
kuchh ko dukān kuchh ko ḳharīdār kar chuke
karne ke jitne kaam the bāzār kar chuke
jin ko rihā.ī milnī na thī un ko mil ga.ī
jis jis ko chāhte the giraftār kar chuke
miltā nahīñ jahāñ meñ koī kaam Dhang kā
ik 'ishq thā so vo bhī ka.ī baar kar chuke
itne to ham kabhī bhī na the sādgī-pasand
kuchh phuul apne rang se bezār kar chuke
ab kis ḳhudā ko lā.ūñ gavāhī ke vāste
sab faisle to pahle hī sarkār kar chuke
kuchh ko dukan kuchh ko KHaridar kar chuke
karne ke jitne kaam the bazar kar chuke
jin ko rihai milni na thi un ko mil gai
jis jis ko chahte the giraftar kar chuke
milta nahin jahan mein koi kaam Dhang ka
ek 'ishq tha so wo bhi kai bar kar chuke
itne to hum kabhi bhi na the sadgi-pasand
kuchh phul apne rang se bezar kar chuke
ab kis KHuda ko laun gawahi ke waste
sab faisle to pahle hi sarkar kar chuke
- Book : Aakhiri Ishq Sabse Pahle Kiya (Pg. 52)
- Author : Nomaan Shauque
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.