kuchh ko ye zid hai ki hum usko yahin dekhenge
kuchh ko ye zid hai ki ham us ko yahīñ dekheñge
kuchh ye kahte haiñ chalo chhoḌo vahīñ dekheñge
qistoñ qistoñ meñ nihāreñge sarāpā terā
ek hī baar meñ ham puurā nahīñ dekheñge
ab ke paayā hai tumheñ pichhle baras se bhī hasīñ
ya.anī ham agle baras aur hasīñ dekheñge
kabhī barchhī kī anī lāsh-e-javāñ girtā alam
ham jarī haiñ to ye manzar bhī hamīñ dekheñge
ham se tai hogā zamāne meñ bulandī kā vaqār
nok-e-neza se bhī ham nīche nahīñ dekheñge
kab talak tū bhī hameñ girya-kunāñ dekhegā
kab talak ham bhī tujhe taḳht-nashīñ dekheñge
bhej de ab to use jis kā kiyā hai va.ada
yā abhī aur sitam ahl-e-zamīñ dekheñge
kuchh ko ye zid hai ki hum us ko yahin dekhenge
kuchh ye kahte hain chalo chhoDo wahin dekhenge
qiston qiston mein nihaarenge sarapa tera
ek hi bar mein hum pura nahin dekhenge
ab ke paya hai tumhein pichhle baras se bhi hasin
yani hum agle baras aur hasin dekhenge
kabhi barchhi ki ani lash-e-jawan girta alam
hum jari hain to ye manzar bhi hamin dekhenge
hum se tai hoga zamane mein bulandi ka waqar
nok-e-neza se bhi hum niche nahin dekhenge
kab talak tu bhi hamein girya-kunan dekhega
kab talak hum bhi tujhe taKHt-nashin dekhenge
bhej de ab to use jis ka kiya hai wada
ya abhi aur sitam ahl-e-zamin dekhenge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.