kuchh log dil ki aaD mein ru-posh ho gae
kuchh log dil kī aaḌ meñ rū-posh ho ga.e
āñkhoñ meñ ḳhvāb aa.e to ḳhāmosh ho ga.e
saaqī ne phir pilā.ī hai kuchh ḳhaas aañkh se
yuuñ ham bhī piite piite hī mad.hosh ho ga.e
ham kitne ḳhush-nasīb haiñ jo aap mil ga.e
dekhā jo jalva aap kā behosh ho ga.e
jitne kiye the pyaar meñ ahd-e-vafā yahāñ
un se vo ahd saare farāmosh ho ga.e
kuchh log dil ki aaD mein ru-posh ho gae
aankhon mein KHwab aae to KHamosh ho gae
saqi ne phir pilai hai kuchh KHas aankh se
yun hum bhi pite pite hi madhosh ho gae
hum kitne KHush-nasib hain jo aap mil gae
dekha jo jalwa aap ka behosh ho gae
jitne kiye the pyar mein ahd-e-wafa yahan
un se wo ahd sare faramosh ho gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.