kuchh log jo hasil hon ganwae nahin jate
kuchh log jo hāsil hoñ gañvā.e nahīñ jaate
is tarah ḳhazāne to luTā.e nahīñ jaate
amrit tirī bātoñ kā hī kaafī hai ajal ko
yuuñ zahr pyāle to pilā.e nahīñ jaate
kyoñ ham se hue jaate ho anjān achānak
is tarah to paimān bhulā.e nahīñ jaate
jaise tirī yādoñ ko sajāyā hai qafas meñ
aise to shabistāñ bhī sajā.e nahīñ jaate
rahte haiñ kasak ban ke tirī yaad ke jugnū
is dil se tirī yaad ke saa.e nahīñ jaate
koī use batlā.e ki aa jaa.e vagarna
ab ham se diye aur jalā.e nahīñ jaate
jis tarah dil-e-soḳhta ko maiñ ne sulāyā
us tarah to bachche bhī sulā.e nahīñ jaate
'shākir' maiñ vo andāz-e-jafā bhuul to jā.ūñ
jo naqsh haiñ dil par vo miTā.e nahīñ jaate
kuchh log jo hasil hon ganwae nahin jate
is tarah KHazane to luTae nahin jate
amrit teri baaton ka hi kafi hai ajal ko
yun zahr pyale to pilae nahin jate
kyon hum se hue jate ho anjaan achanak
is tarah to paiman bhulae nahin jate
jaise teri yaadon ko sajaya hai qafas mein
aise to shabistan bhi sajae nahin jate
rahte hain kasak ban ke teri yaad ke jugnu
is dil se teri yaad ke sae nahin jate
koi use batlae ki aa jae wagarna
ab hum se diye aur jalae nahin jate
jis tarah dil-e-soKHta ko main ne sulaya
us tarah to bachche bhi sulae nahin jate
'shakir' main wo andaz-e-jafa bhul to jaun
jo naqsh hain dil par wo miTae nahin jate
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.