kuchh log sirf hum ko satane mein rah gae
kuchh log sirf ham ko satāne meñ rah ga.e
aur ham ta.alluqāt nibhāne meñ rah ga.e
ham ne to mushkilāt meñ manzil talāsh kī
ik vo hai jo ki ham ko girāne meñ rah ga.e
dil tak kisī ke jaanā hai par jaa.eñ kis tarah
jaanā to chāhte the na jaane meñ rah ga.e
apne atiit se kiyā samjhautā na kabhī
kuchh yādgār pal bhī bhulāne meñ rah ga.e
ham ne to dard kī na.ī rachnā.eñ likh bhī diiñ
kuchh log sirf khāne kamāne meñ rah ga.e
gar tū ḳhudā nahīñ hai to itnā ghamanD kyoñ
ham us ko ye bhī yaad dilāne meñ rah ga.e
us ne hamāre paañv meñ zanjīr Daal dī
ham us se sirf haath milāne meñ rah ga.e
jin ke liye havan meñ huī saarī zindagī
vo log bas mujhī ko jalāne meñ rah ga.e
kuchh aur un se ho na sakā 'anjanā' to phir
vo mujh ko apnā ro.ab dikhāne meñ rah ga.e
kuchh log sirf hum ko satane mein rah gae
aur hum talluqat nibhane mein rah gae
hum ne to mushkilat mein manzil talash ki
ek wo hai jo ki hum ko girane mein rah gae
dil tak kisi ke jaana hai par jaen kis tarah
jaana to chahte the na jaane mein rah gae
apne atit se kiya samjhauta na kabhi
kuchh yaadgar pal bhi bhulane mein rah gae
hum ne to dard ki nai rachnaen likh bhi din
kuchh log sirf khane kamane mein rah gae
gar tu KHuda nahin hai to itna ghamanD kyon
hum us ko ye bhi yaad dilane mein rah gae
us ne hamare panw mein zanjir Dal di
hum us se sirf hath milane mein rah gae
jin ke liye hawan mein hui sari zindagi
wo log bas mujhi ko jalane mein rah gae
kuchh aur un se ho na saka 'anjana' to phir
wo mujh ko apna roab dikhane mein rah gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.