kuchh log taghayyur se abhi kanp rahe hain
kuchh log taġhayyur se abhī kaañp rahe haiñ
ham saath chale to haiñ magar haañp rahe haiñ
nāroñ se siyāsat kī haqīqat nahīñ chhuptī
uryāñ hai badan laakh use Dhāñp rahe haiñ
kyā baat hai shahroñ meñ simaT aa.e haiñ saare
jañgal meñ to gintī ke hī kuchh saañp rahe haiñ
makḌī kahīñ makkhī ko giraftār na kar le
vo shoḳh-nigāhoñ se mujhe bhāñp rahe haiñ
ye jhuuT hai yā sach hai samajh meñ nahīñ aatā
sach bolne meñ hoñT mire kaañp rahe haiñ
kuchh log taghayyur se abhi kanp rahe hain
hum sath chale to hain magar hanp rahe hain
naron se siyasat ki haqiqat nahin chhupti
uryan hai badan lakh use Dhanp rahe hain
kya baat hai shahron mein simaT aae hain sare
jangal mein to ginti ke hi kuchh sanp rahe hain
makDi kahin makkhi ko giraftar na kar le
wo shoKH-nigahon se mujhe bhanp rahe hain
ye jhuT hai ya sach hai samajh mein nahin aata
sach bolne mein honT mere kanp rahe hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.