kuchh lutf KHamoshi mein na aahon mein maza hai
kuchh lutf ḳhamoshī meñ na aahoñ meñ mazā hai
be-kaifī-e-dil in dinoñ kuchh had se sivā hai
be-ḳhud kiye rahtī hai tasavvur kī fazā meñ
apnī shab-e-tanhā.ī kā aalam hī judā hai
ik rabt-e-mohabbat hī kā ehsās hai dil meñ
kuchh aur na ehsās-e-jafā hai na vafā hai
ai dost maiñ kyā mahviyat-e-dil ko chhupā.ūñ
jab husn-e-tasavvur hī tirā hosh-rubā hai
ai aarfī hai rāh-e-mohabbat bhī ajab raah
rahbar hai jahāñ koī na manzil kā patā hai
kuchh lutf KHamoshi mein na aahon mein maza hai
be-kaifi-e-dil in dinon kuchh had se siwa hai
be-KHud kiye rahti hai tasawwur ki faza mein
apni shab-e-tanhai ka aalam hi juda hai
ek rabt-e-mohabbat hi ka ehsas hai dil mein
kuchh aur na ehsas-e-jafa hai na wafa hai
ai dost main kya mahwiyat-e-dil ko chhupaun
jab husn-e-tasawwur hi tera hosh-ruba hai
ai aarfi hai rah-e-mohabbat bhi ajab rah
rahbar hai jahan koi na manzil ka pata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.