kuchh main kah baiThun KHuda-na-KHwasta
kuchh maiñ kah baiThūñ ḳhudā-na-ḳhvāsta
maulvī sāhab ḳhudā kā vāsta
yaad aatī hai to bhar aatā hai dil
zindagī kī mahfileñ barḳhāsta
chāñdī sonā do magar hoñ beTiyāñ
zevar-e-ta.alīm se ārāsta
apnī Thokar par hai ḳhvāboñ kā safar
kaun sī manzil kahāñ kā rāsta
chāñd taare dil jalāne aa.e haiñ
shām-e-ġham ārāsta pairāsta
kuchh main kah baiThun KHuda-na-KHwasta
maulwi sahab KHuda ka wasta
yaad aati hai to bhar aata hai dil
zindagi ki mahfilen barKHasta
chandi sona do magar hon beTiyan
zewar-e-talim se aarasta
apni Thokar par hai KHwabon ka safar
kaun si manzil kahan ka rasta
chand tare dil jalane aae hain
sham-e-gham aarasta pairasta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.