kuchh miTha kuchh khaara-pan hai
kuchh mīThā kuchh khārā-pan hai
kyā kyā svaad liye jīvan hai
kaise aañkh milā kar bole
saaf nahīñ jab is kā man hai
shikve bhī un se hī hoñge
jin se thoḌā apnā-pan hai
dhan hī dhan hai ik tabqe par
ik tabqa behad nirdhan hai
sūkhā hai to baaḌh kahīñ par
barsā ye kaisā sāvan hai
kal nishchit hī kaam baneñge
aaj bhale hī kuchh aḌchan hai
dil kā hai vo saaf bhale hī
lahje meñ kuchh kaḌvā-pan hai
kuchh miTha kuchh khaara-pan hai
kya kya swad liye jiwan hai
kaise aankh mila kar bole
saf nahin jab is ka man hai
shikwe bhi un se hi honge
jin se thoDa apna-pan hai
dhan hi dhan hai ek tabqe par
ek tabqa behad nirdhan hai
sukha hai to baDh kahin par
barsa ye kaisa sawan hai
kal nishchit hi kaam banenge
aaj bhale hi kuchh aDchan hai
dil ka hai wo saf bhale hi
lahje mein kuchh kaDwa-pan hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.