kuchh milega to hum faqiron mein
kuchh milegā to ham faqīroñ meñ
kuchh nahīñ haath kī lakīroñ meñ
baat ham ne junūñ kī maanī hai
aql shāmil nahīñ mushīroñ meñ
ham shahanshāh to nahīñ lekin
baiTh kar dekh ham faqīroñ meñ
jism maflūj hai zamāne kā
ruuh chup-chāp hai sarīroñ meñ
pattharoñ ko na dukh sunā 'muftī'
dard hotā nahīñ amīroñ meñ
kuchh milega to hum faqiron mein
kuchh nahin hath ki lakiron mein
baat hum ne junun ki mani hai
aql shamil nahin mushiron mein
hum shahanshah to nahin lekin
baiTh kar dekh hum faqiron mein
jism mafluj hai zamane ka
ruh chup-chap hai sariron mein
pattharon ko na dukh suna 'mufti'
dard hota nahin amiron mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.