Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kuchh mohtasibon ki KHalwat mein kuchh waiz ke ghar jati hai

Faiz Ahmad Faiz

kuchh mohtasibon ki KHalwat mein kuchh waiz ke ghar jati hai

Faiz Ahmad Faiz

MORE BYFaiz Ahmad Faiz

    Interesting Fact

    Written in Montgomery Jail, June 1954

    kuchh mohtasiboñ ḳhalvat meñ kuchh vaa.iz ke ghar jaatī hai

    ham bāda-kashoñ ke hisse ab jaam meñ kam-tar jaatī hai

    yuuñ arz-o-talab se kam ai dil patthar dil paanī hote haiñ

    tum laakh razā ḳhū Daalo kab ḳhū-e-sitamgar jaatī hai

    bedād-garoñ bastī hai yaañ daad kahāñ ḳhairāt kahāñ

    sar phoḌtī phirtī hai nādāñ fariyād jo dar dar jaatī hai

    haañ jaañ ke ziyāñ ham ko bhī tashvīsh hai lekin kyā kiije

    har rah jo udhar ko jaatī hai maqtal se guzar kar jaatī hai

    ab kūcha-e-dil-bar rah-rau rahzan bhī bane to baat bane

    pahre se adū Talte nahīñ aur raat barābar jaatī hai

    ham ahl-e-qafas tanhā bhī nahīñ har roz nasīm-e-sub.h-e-vatan

    yādoñ se mo.attar aatī hai ashkoñ se munavvar jaatī hai

    kuchh mohtasibon ki KHalwat mein kuchh waiz ke ghar jati hai

    hum baada-kashon ke hisse ki ab jam mein kam-tar jati hai

    yun arz-o-talab se kam ai dil patthar dil pani hote hain

    tum lakh raza ki KHu Dalo kab KHu-e-sitamgar jati hai

    bedad-garon ki basti hai yan dad kahan KHairaat kahan

    sar phoDti phirti hai nadan fariyaad jo dar dar jati hai

    han jaan ke ziyan ki hum ko bhi tashwish hai lekin kya kije

    har rah jo udhar ko jati hai maqtal se guzar kar jati hai

    ab kucha-e-dil-bar ka rah-rau rahzan bhi bane to baat bane

    pahre se adu Talte hi nahin aur raat barabar jati hai

    hum ahl-e-qafas tanha bhi nahin har roz nasim-e-subh-e-watan

    yaadon se moattar aati hai ashkon se munawwar jati hai

    Source :
    • Book : Nuskha Hai Wafa (Pg. 270)

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now