kuchh mujhe kah ke na kahwaiye aap
kuchh mujhe kah ke na kahvā.iye aap
bas zabāñ merī na khulvā.iye aap
dosh par aur na bhārī ho jaa.e
mere sar kī na qasam khā.iye aap
bazm-e-nāz us kī hai ai hazrat-e-dil
paañv apne bhī na phailā.iye aap
ġhair ke shikve na pūchho shab-e-vasl
pichhle murde na ukhaḌvā.iye aap
log jāneñge tumhārā āshiq
maiñ agar aa.uuñ to sharmā.iye aap
kuchh patā merā batā dījiyegā
kuchh ḳhabar merī agar pā.iye aap
saath mere na koī chīḳh uThe
mujh ko mahfil se na uThvā.iye aap
jaate jaate kahīñ aġhyār ke ghar
kaash raste hī meñ mil jā.iye aap
ek dam us ko bhulā kar 'sālik'
jī kisī tarah to bahlā.iye aap
kuchh mujhe kah ke na kahwaiye aap
bas zaban meri na khulwaiye aap
dosh par aur na bhaari ho jae
mere sar ki na qasam khaiye aap
bazm-e-naz us ki hai ai hazrat-e-dil
panw apne bhi na phailaiye aap
ghair ke shikwe na puchho shab-e-wasl
pichhle murde na ukhaDwaiye aap
log jaanenge tumhaara aashiq
main agar aaun to sharmaiye aap
kuchh pata mera bata dijiyega
kuchh KHabar meri agar paiye aap
sath mere na koi chiKH uThe
mujh ko mahfil se na uThwaiye aap
jate jate kahin aghyar ke ghar
kash raste hi mein mil jaiye aap
ek dam us ko bhula kar 'salik'
ji kisi tarah to bahlaiye aap
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.