kuchh na kuchh aaya to hoga uske ji mein
kuchh na kuchh aayā to hogā us ke jī meñ
phir chhupāyā hogā mujh ko diary meñ
Dar bahut lagtā thā pahle maut se par
ab maza aatā hai mujh ko ḳhud-kushī meñ
baam par maiñ baiTh kar ye sochtā huuñ
shab nahā.ī hogī us kī raushnī meñ
baat saarī chāñd se kartā huuñ us kī
hosh rahtā hī nahīñ bāda-kashī meñ
mujh ko ab tanhā.ī khaltī jā rahī hai
ho rahā hai ye tirī maujūdgī meñ
ho gayā pāgal tirī ḳhātir vo laḌkā
kuchh kamī rakkhī nahīñ dīvāngī meñ
dekh kar tum ko mirī hālat vahī hai
chiiz dekhe jaise bachcha muflisī meñ
ab nahīñ hai pyaar tum se jaan merī
kah rahā huuñ baat ye nārāzgī meñ
kuchh na kuchh aaya to hoga us ke ji mein
phir chhupaya hoga mujh ko diary mein
Dar bahut lagta tha pahle maut se par
ab maza aata hai mujh ko KHud-kushi mein
baam par main baiTh kar ye sochta hun
shab nahai hogi us ki raushni mein
baat sari chand se karta hun us ki
hosh rahta hi nahin baada-kashi mein
mujh ko ab tanhai khalti ja rahi hai
ho raha hai ye teri maujudgi mein
ho gaya pagal teri KHatir wo laDka
kuchh kami rakkhi nahin diwangi mein
dekh kar tum ko meri haalat wahi hai
chiz dekhe jaise bachcha muflisi mein
ab nahin hai pyar tum se jaan meri
kah raha hun baat ye naraazgi mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.