kuchh na kuchh is sar-zamin par nagahan hona hi tha
kuchh na kuchh is sar-zamīñ par nāgahāñ honā hī thā
un ko mujh se bhī ḳhafā ai mehrbāñ honā hī thā
chhoḌ jā.egī hamārī zindagī mā'lūm thā
fāsla us ke hamāre darmiyāñ honā hī thā
lā.eñge ab dekhiye ilzām kyā ham par nayā
imtihāñ ke baa'd bhī to imtihāñ honā hī thā
kuchh samundar the hamāre chashm-e-tar meñ chhup ga.e
kuchh to aañsū the jinheñ āb-e-ravāñ honā hī thā
tishnagī ai tishnagī is dhuup meñ ham kyā kareñ
qatra qatra ḳhūn-e-dil se nīm-jāñ honā hī thā
jo sitāre the hamārī gardish-e-ayyām ke
un ko to āḳhir hamārī kahkashāñ honā hī thā
shūmī-e-qismat ki saare shahr meñ badnām haiñ
jo bhī kuchh achchhā kiyā vo rā.egāñ honā hī thā
sun ke vo qisse hamāre chup ke chup hī rah ga.e
phir bhī 'āriz the ki un ko gulsitāñ honā hī thā
ai dil-e-nādāñ tujhe bhī fikr hai kis baat kī
tujh ko bhī ik din kisī kī dāstāñ honā hī thā
ham ne khaa.e haiñ hazāroñ zaḳhm apnī jaan par
'barham' un ko phir bhī ham se bad-gumāñ honā hī thā
kuchh na kuchh is sar-zamin par nagahan hona hi tha
un ko mujh se bhi KHafa ai mehrban hona hi tha
chhoD jaegi hamari zindagi ma'lum tha
fasla us ke hamare darmiyan hona hi tha
laenge ab dekhiye ilzam kya hum par naya
imtihan ke ba'd bhi to imtihan hona hi tha
kuchh samundar the hamare chashm-e-tar mein chhup gae
kuchh to aansu the jinhen aab-e-rawan hona hi tha
tishnagi ai tishnagi is dhup mein hum kya karen
qatra qatra KHun-e-dil se nim-jaan hona hi tha
jo sitare the hamari gardish-e-ayyam ke
un ko to aaKHir hamari kahkashan hona hi tha
shumi-e-qismat ki sare shahr mein badnam hain
jo bhi kuchh achchha kiya wo raegan hona hi tha
sun ke wo qisse hamare chup ke chup hi rah gae
phir bhi 'ariz the ki un ko gulsitan hona hi tha
ai dil-e-nadan tujhe bhi fikr hai kis baat ki
tujh ko bhi ek din kisi ki dastan hona hi tha
hum ne khae hain hazaron zaKHm apni jaan par
'barham' un ko phir bhi hum se bad-guman hona hi tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.