kuchh na kuchh man salamat hai abhi
kuchh na kuchh maan salāmat hai abhī
ek imkān salāmat hai abhī
khīñch saktā huuñ ġham-e-dil kā surūr
itnā sāmān salāmat hai abhī
ik musalmān kā sar kaaTā gayā
ik musalmān salāmat hai abhī
merī beTī mire virse kī amiiñ
ye qalam-dān salāmat hai abhī
in havāoñ meñ namī hai 'rāhil'
koī insān salāmat hai abhī
kuchh na kuchh man salamat hai abhi
ek imkan salamat hai abhi
khinch sakta hun gham-e-dil ka surur
itna saman salamat hai abhi
ek musalman ka sar kaTa gaya
ek musalman salamat hai abhi
meri beTi mere wirse ki amin
ye qalam-dan salamat hai abhi
in hawaon mein nami hai 'rahil'
koi insan salamat hai abhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.